Ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum nay


Ek-shakhs-ko-dekha-tha
Ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum nay
Ek shakhs ko chaha tha apno ki tarha hum nay,

Ek shakhs ko samja tha phoolon ki tarha hum nay
Wo shakhs qyamat tha kia karyn os ki batian,

Din os k liyay paida or os ki he thi ratain
Kab milta kisi sy tha hm sy thin mulakatin,

Rung os ka shahabi tha zulfoon may thin mayhkaryn
Ankhayn thin k jadu tha palkayn thin k talwaryn,

Dushman b ager daykhen tu jaan sy dil haryn
Kuch tm sy wo milta tha batoon may shbaahat thi,

Han tm sa he lagta tha shokhi may sharart may
Lagta b tum he sa tha dastour e muhabat may,

Wo shakhs hmy ek din apno ki tarha bohla
Taroon ki tarha doba pholoon ki tarha tota,

Phir hath na aya wo hm ny boht dohnda
Tm kis liyay chonky ho kab zikar tmhara hay,

Kab tm sy takaza hy kab tm sy shikayat hay
Ek taza hikayat hy soun loo tu inayaat hay,

Ek shakhs ko daykha tha taron ki tarha hum nay
Ek shakhs ko chaha tha apnoo ki tarha hum nay
Ek taza hikayat hy soun loo tu inayat hy.

●─┼ HAFI ┼─●

0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.
 

Blogger news

Blogroll

About