Do be nishan dilon ki nishani likheinge hum
Ey taj teri jab bhi kahani likheinge hum
Jin par kisi ki maut ka hota nahi asar
Unke lahu ko dosto pani likheinge hum
Ghar ghar mein aaj dosto mahgayi ka hai raj
Isko hi apne daur ki rani likheinge hum
jab laash sar kati huyi basti mein aayi ho
phir kaise waardat purani likheinge hum
Jis ke liye samaaj mein koi jagah nahin
apni ghazal mein uski kahani likheinge hum
Tukde kiye hain jisne ishare se chand ke
uska nahi hai koi bhi shani likheinge hum
Mahir tujhe jahaan se bhulaya na jayga
apne lahu se teri kahani likheinge hum
●─┼ HAFI ┼─●
0 comments:
Post a Comment