Kahan Se laayen her roz ek Naya Dil


Heart-Tuching
Kahan Se laayen her roz ek Naya Dil "Hafi"
Torne Walon Ne to Tamasha bana rakha hai.


●─┼ HAFI ┼─●

A Shab-e tanhai tu Gawah Rehna


Gawah-Rehna
A Shab-e tanhai tu Gawah Rehna.
Aaj phr mairay apnay so gaye muje yaad kiye bagair.

●─┼ HAFI ┼─●

Jis nagar b jao Qisay hain Kembakht Dil k


Jis nagar b jao Qisay hain Kembakht Dil k.
Koi lay k ro raha hai koi day k ro raha hai.

●─┼ HAFI ┼─●

Qeemati Chaadrain Mazaro'n Par Daal Dety Hain


Hijab-Poetry
Qeemati Chaadrain Mazaro'n Par Daal Dety Hain
Ez'zatian Be Hijab Phirti Hain Bazaaro'n Main.

●─┼ HAFI ┼─●

Wo agar kholtey hain pani ki tarha

Wo-agar-kholtey-hain
Mere is dil ki keetabon ki tarha
Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha.

Wo agar kholtey hain pani ki tarha

To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha,


Wo koi phool ho nahi saktey
Unki khushboo hai sharabon ki tarha,



Dil mai aata hai unka ho jaoon
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha,

Unse rakhta hoon mai dua e kher
Unse rishta hai mera janabon ki tarha,

Wo unke hont surkh sholo se ’shamsh
Dekhney mai hain kababon ki tarha.

●─┼ HAFI ┼─●

Nigahoon Main Abhi tak doosra chehra nahin aya


Face-in-love
Nigahoon Main Abhi tak doosra chehra nahin aya..
Bharosa hi kuch aisa tha tumharay loat anay ka..


●─┼ HAFI ┼─●

Hmari trap to kuch b nahin


Hmari-trap-to-kuch-b-nahin
Hmari trap to kuch b nahin hai "Saqi"
Suna hai os k didaar ko ainay tarstay hain.


●─┼ HAFI ┼─●

Na Karo Takrar Mujhe Tumhara He Kheyal Hai


Na-Karo-Takrar-Mujhe-Tumhara-He-Kheyal-Hai
Na Karo Takrar Mujhe Tumhara He Kheyal Hai
Phr Baat Se Baat Nikle Gi Aur Tum Rooth jawo Gy...

●─┼ HAFI ┼─●

Adaab-e-wafa Bhi Sekho


Adaab-e-wafa-Bhi-Sekho
Adaab-e-wafa Bhi Sekho IshQ Ki Bargaah Me Tum
FaQat Yun DiL Lgany Say' DiLon mein Ghar Nahi Hota.

●─┼ HAFI ┼─●

Toote hue dilon ki Duaa mere saath hai


Toote-hue-dilon-ki
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai,
Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai.

Awaaz ghunghrooON ki…Nahin hai to kya hua
Saagar ke tootne ki…Sadaa mere saath hai

Tanhai kisko kehte hain…Mujhko pata nahin
Kya jaane kis hasin ki…Duaa mere saath hai

Paimana saamne hai to…Kuch gum nahin Nizaam
Ab dard-e-dil ki koi…Dava mere saath hai

Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai.


●─┼ SABA RANI ┼─●

Doob Mar ay dil tuj se ye umeed nahin thi


Heart-is-alone
Doob Mar ay dil tuj se ye umeed nahin thi...!!
Tu ussi k liye marra ja raha hai,Jisay teri parwa bhi nahin..!!!

●─┼ HAFI ┼─●

Kmeenay Ho gaye jazbay


Kmeenay-Ho-gaye-jazbay
Kmeenay Ho gaye jazbay,Huay bdnaam Khuwaab apne..
Kabhi is say,kabhi us say mahabbat ho gayi akhir..

●─┼ HAFI ┼─●

Nigahoon se qatal kr daalo


Nigahoon-se-qatal-kr-daalo
Nigahoon se qatal kr daalo, na takleef ho donoon ko.
Tumhain khanjar othanay ki,humain garden jukanay ki.

●─┼ HAFI ┼─●

Subah ko satana accha lagta hai



Subah-ko-satana-accha-lagta-hai
Subah ko satana accha lagta hai
Soye huye ko jagana accha lagta hy

Jab yaad aati hy kisi ki to
Use bhi apni yaad dilana accha lagta hai.

Good morning

●─┼ HAFI ┼─●



Agar dil haar bethay ho mere hamdam


Agr-dil-haar-bethay-ho
Agar dil haar bethay ho mere hamdam mohabbat main.
Fana kaisi ? Baqa kaisi ? Saza kaisi ? Jaza Kaisi ?


●─┼ HAFI ┼─●

Aey Shama Pooch Hum Se


Aey-Shama-Pooch-Hum-Se
Aey Shama Pooch Hum Se Zabt-e-Mohabbat Ka Hosla.
Tu To Aik Hi Raat Mein Saari Pighal Gayi.


●─┼ HAFI ┼─●

Bewafa logo ko hum se behter kon jane ga


Love-Is-Blind
Bewafa logo ko hum se behter kon jane ga.
Hum to wo dewane hain jinhain ksi ki nafrat sy bi pyar tha.


●─┼ HAFI ┼─●

jeene kaa raaz maiN ne mohabbat meN paa liyaa


Love-Is-Life
jeene kaa raaz maiN ne mohabbat meN paa liyaa
jis kaa bhii Gam hu_aa use apanaa banaa liyaa

tum Gam kaa bojh ro ke bhii halkaa na kar sake
maiN ne haNsii ki aaR meN har Gam chhupaa liyaa

sunaane ko jab na ko_ii milaa daastaan-e-Gam
aa_iinaa rakh ke saamane Khud ko sunaa liyaa

●─┼ HAFI ┼─●

Humari Baat Itni hai k


Humari-Baat-Itni-hai-k
Humari Baat Itni hai k Raaz-e-Zindagi tum ho...!!!
Tumhari Baat Tum Jano, Tumhare Raaz Tum Jano....!!!

●─┼ HAFI ┼─●

Do be nishan dilon ki nishani likheinge hum


Dont-Broke-Heart
Do be nishan dilon ki nishani likheinge hum
Ey taj teri jab bhi kahani likheinge hum

Jin par kisi ki maut ka hota nahi asar
Unke lahu ko dosto pani likheinge hum

Ghar ghar mein aaj dosto mahgayi ka hai raj
Isko hi apne daur ki rani likheinge hum

jab laash sar kati huyi basti mein aayi ho
phir kaise waardat purani likheinge hum

Jis ke liye samaaj mein koi jagah nahin
apni ghazal mein uski kahani likheinge hum

Tukde kiye hain jisne ishare se chand ke
uska nahi hai koi bhi shani likheinge hum

Mahir tujhe jahaan se bhulaya na jayga
apne lahu se teri kahani likheinge hum

●─┼ HAFI ┼─●

Waqt ki karri dhoop mein


Waqt-ki-karri-dhoop-mein
Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai,
Mere aansu jo bahe’n to rumaal ban jati hai,

Jis roz Maa'n ki duayain na samait kar mein nikloon,
Us roz yeh zindagi bhi wabaal ban jati hai,

Jo log azmat maan ki pehchaan ke chalte hain,
Taareekh mein bhi un ki misaal ban jati hai,

Maa'n ho agar saleeqa’mand aur ba’shaoor,
Us ke saaye mein shakhsiyat bakamaal ban jati hai..!!



●─┼ HAFI ┼─●

Meri aankhon main Ansu aaye na hote


Girl-Weeping-In-Love
Meri aankhon main Ansu aaye na hote,
Wo humein dekh kar muskuraye na hote,

Sochti hun aksar tanhai may main,
Meri zindagi main kash wo aaye na hote,

Na tarapte hum unke liye itna,
Dil ne khawab unke sajaye na hote,

Naa toot kar bikharti main is kadar,
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….


●─┼ SABA RANI ┼─●

Kaisey Andaz-e-Shouq Mein


Kaisey-Andaz-e-Shouq-Mein
Kaisey Andaz-e-Shouq Mein Keh DiYa Tum Ne Alvida,
Jaisey Sadiyon Se Tere Dil Pe Koi Bojh Thy Hum…

●─┼ SABA RANI ┼─●

Kash Kisi Udaas Mosam Mein


Kash-Kisi-Udaas-Mosam-Mein
Kash Kisi Udaas Mosam Mein
Meri Ankho Pe Wo Hath Rakh De Apnay

Aur

Hanstay Howay Keh De Boojh Lo 
TU Hum Tumhary Na Boojho Tu Tum Hamary.


●─┼ HAFI ┼─●

Subah Bas Aane Ko Hai


Morning-Coming
Subah Bas Aane Ko Hai

Bass Chand Kadam Tu Aur Chal Ab
Teri Aahaton Se Darrkar
Dekh Raat Jaane Ko Hai
Toh Nazar Utha Aur Dekh Gagan Ko
Kyonki Subah Bass Aane Ko Hai

Kar Buland Apni Aawaaz Tu
Cheer Kaleja Andhere Ka
Himmat Ko Bandh Aankhon Se Apni
Or Kar Deedaar Sawere Ka
Jeetega Har Bazee Ab Tu
Har Daawn Jo Ab Lagane Ko Hai
Toh Nazar Utha Aur Dekh Gagan Ko
Kyonki Subah Bass Aane Ko Hai

Waqt Ki Gehraayion Ko Dekar Maat
Palti Hai Tune Apni Kismat Ki Bisaat
Kaayar Nahi Tu,Kamzor Nahi Tu
Bataana Tujhe Yeh Zamaane Ko Hai
Toh Nazar Utha Or Dekh Gagan Ko
Kyonki Subah Bass Aane Ko Hai

Hunkaar Bhar Apni Saason Me
Fir Utha Samandar Me Tu Aaj Zalzale
Raakh Na Hone De Lahu Ko Apne
Jab Talak Seene Me Toofaan Jale
Gaad Pataaka Vijay Ki Un Lamho Pe
Jo Aaye Tujhe Aazmane Ko Hain
Toh Nazar Utha Or Dekh Gagan Ko
Kyonki Subah Bass Aane Ko Ha


Good Morning Fans.
●─┼ SABA RANI ┼─●

Mein Lot Jaun Ga Wapis

Mein-Lot-Jaun-Ga-Wapis
Mein Lot Jaun Ga Wapis Apni Dunya Mein

Faraz

Wo Shakhs Mujh Say Bicharnay Ka Faisla To Kary.

●─┼ SABA RANI ┼─●

The morning sun


The-morning-sun
The morning sun brings about new hope for today,
It is a promise that troubles are washed away with yesterday. 

Today is a brand new day so make the most of it,
Live as if it were your last and enjoy every minute.

For every single day is a gift from God up in heaven,
Waste it, and you'll only be pleasing the devil. 


Good Morning! 

●─┼ HAFI ┼─●

Hum ghalat kartay rahay


Hum-ghalat-kartay-rahay
Ess Dyar-e-Be'rukhi mein,ess qadar Pas-e-wafa
Ikk yehi bass kaam tha jo hum ghalat kartay rahay.


●─┼ HAFI ┼─●

Iss Se Pehle Ke Bewafaa Ho Jayaen


Lovely-Style
Iss Se Pehle Ke Bewafaa Ho Jayaen
Kyoon Na Aiye Dost Hum Judaa Ho Jaayen 

Tuu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jaayen

Hum Bhi Majboori'on Ka Uzar Karen
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jaayen

Aab Ke Gar Tuu Mile Tou Hum Tujhse
Aise Lipten Teri Qabaa Ho Jaaye

Bandagi Hum Ne Chhor Di Hai Aiye Yaar
Kya Karen Jab Log Khuda Ho Jaayen..

Na uss ne murr k dekha


Na-uss-ne-murr-k-dekha
Na uss ne murr k dekha , na hum ne palat kar awaz di..
Aik ajab si jhijak thi jis ne dono ko pathar bana dia..

●─┼ HAFI ┼─●

Woh le gayaa hai dil se


Woh-le-gayaa-hai-dil-se
Ulti parri hain KASHTIYAAN sab RAITT per meri..,
Woh le gayaa hai dil se SAMANDAR nikaal kar......!

●─┼ HAFI ┼─●

Tu ney deewana banaya tu mien deewana bana


Love-Is-life
Tu ney deewana banaya tu mien deewana bana
ab mujhey hosh ki dunya mien tamasha na bana

yousaf e misr e tammanna tere jalwoon ke nisar
meri bedariyon ko khuwab e zulekha na bana

zoq e barabadiey e dil ko bhi na kar tu barbad
dil ki ujari hui bigri hui dunya na bana

ishq mien deeda o dil sheesha o pemana bana
jhoom kar beth gaey hum wahien maykhana bana

yeh tamanna hai ke aazad e tamnna hee rahoon
dil e mayous ko manoos e tamanna na bana

nigah e naaz se poochein gey kisi din yeh "Zaheen"
tu ne kiya kiya na banaya koi kiya kiya na bana.

●─┼ HAFI ┼─●

Yaqeen na ay-e to ik baar poch kr daikho


True-Poetry
Yaqeen na ay-e to ik baar poch kr daikho..
Jo hans raha hai wo zakhmoon se choor niklay ga.


●─┼ HAFI ┼─●

Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate


End-In-Love
Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate
Gham ki miaad badha jaao ke kuch raat kate


Hijr mein aah-o-baka sa kuhan hai lekin
Aaj yeh rasm hi dohrao ke kuch raat kate

Yun to tum roshni qalb-o-nazar ho lekin
Aaj who mojezah dikhlao ke kuch raat kate

Dil dukhaata hai who milkar bhi magar aaj ki raat
Usi be-dard ko le aao ke kuch raat kate

Dam ghuta jaata hai afsurda dili se yaaro
Koi afvah hi phailao ke kuch raat kate

Main bhi bekaar hun aur tum bhi ho viran bahot
Doston aaj na ghar jaao ke kuch raat kate

Chod aaye ho sarshaar use kyun NAASIR
Use phir ghar se bula lao ke kuch raat kate


●─┼ HAFI ┼─●

Qabool-e-jurm krty hain


Qabool-e-jurm-krty-hain
Qabool-e-jurm krty hain Tumhary Qadmoo'n main gir kar
Saza-e-Mout hai Manzoor mgr Muhabbat Ab nahi karni.

●─┼ SABA RANI ┼─●

Ye Sub Raste k Sathi Hain

I-am-alone

Ye Sub Raste k Sathi Hain Enhein Akhir Bicharrna Hay
Chalo Ab Ghar Chalin Saghar Bhoht Awargi Kar li.

●─┼ HAFI ┼─●

Aane do usko k main bhi shikayet karungi


Hate-With-Sleeping
Aane do usko k main bhi shikayet karungi..
Mujse pooche bina kyu mere sapno me aata hy wo..


●─┼ HAFI ┼─●

Kal RAAT Urr rahay thay SITAARAY


Kal-RAAT-Urr-rahay-thay-SITAARAY
Kal RAAT Urr rahay thay SITAARAY HAWA kay Saath
Aur MEIN UDDASS Baithha tha Apnay KHUDA kay Saath.

Ya to QABOOLIYYAT ka Tareeka Sikha MUJHE
Ya MERE DIL ko BAANHD day APNI RAZA kay Saath?!!!

●─┼ HAFI ┼─●

To realise the value of


To realise the value of

“One year” Ask one who failed in an exam..
“One month” Ask one who has not received his salary.
“One week” Ask one who is hospitalised.
“One day” Ask one who is on fasting..
“One hour” Ask one who is waiting for his beloved..
“One minute” Ask one who missed his train..
“One second” Ask one who just escape from an accident..

Every moment is a treasure..
Yesterday is history,
Tomorrow is mystery,
But Today is a gift..

Thats why its called present..
May ALLAH keep ur present happy & safe.! Good morning.

●─┼ SABA RANI ┼─●

What Colour You Will Give Me?

Love-Colours



RED => I love You ! 

PINK => U Are Cute ! 

Green => U are Funny ! 

Orange => I Like U ! 

White => I Used To Like U. 

Yellow => U Are Unique. 

Indigo => I hate U. 

Blue =>I Miss U. 

Purple =>U Are Sweet. 

Brown => U Are My Best Friend. 

Aqua =>I Want To Be Ur BF/GF.

●─┼ HAFI ┼─●

Sach kahon ga to saza dain gy


Sach-kahon-ga-to-saza-dain-gy
Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log
Mujko sooli pr charha dain gy tery shehr k log,

Baton Baton mein tera zikr krain gy mujh sy
Yun zakhmon ko hawa dain gy tery shehr k log,

Aik diwar gira doon bhi to aye jan e ghazal
Nai diwar utha dain gy tery shehr k log,

Main ny sadion mein hunsny ka saliqa sikha
Kiya khabar thi rula dain gy tery shehr k log.

Main to shama hoon meri umar hi kiya hay
Subha hoty hi bujha dain gy tery shehr k log.


●─┼ SABA RANI ┼─●

Jate Jate wo mujh se kuch yun keh gaya


Love-Is-Bliend
Jate Jate wo mujh se kuch yun keh gaya..
Hum tu Pyaar seeknay ayee thay tujh se kisi aur k liye.

●─┼ SABA RANI ┼─●

Abhi To Chand Lafzon Main


Girl-In-Sad-Mood
Abhi To Chand Lafzon Main Samaita Hai Tujhe Main Ne,
Abhi To Meri Kitabon Main Teri Tafseer Baaqi Hai...!♥


●─┼ HAFI ┼─●

Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shoharat Bhi Le Lo


Ye-Daulat-Bhi-Le-Lo
Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shoharat Bhi Le Lo

Bhale Chiin Lo Mujh Se Meri Javani Magar Mujh Ko Lauta Do Bachapan Ka Savan

Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani

Mohalle Ki Sabse Nishani Purani

Woh Burhiyaa Jise Bache Kehte They Nani

Woh Nani Ki Baaton Mein Pariyon Ka Dera

Woh Chehre Ki Jhuriryon Mein Sadiyon Ka Phera

Bhulaae Nahi Bhool Sakata Hai Koi

Woh Chhoti C Raaten Woh Lambi Kahani

Kari Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalana

Woh Chiriya Woh Bulbul Woh Titali pakarana

Woh Guriya Ki Shaadi Mein Larna Jhagarna

Woh Jhulon Se Girana Woh Gir K Sambhalana

Woh Pital K Challon K Pyare Se Tohafe

Woh Tooti Hui Churiyon Ki Nishani

Kabhi Rait K Unche Tilon Py Jana

Gharaunde Banana Bana K Mitana

Woh Masoom Chahat Ki Tasvir Apni

Woh Khwabon Khilaunon Ki Jagir Apni

Na Duniya Ka GHam Tha Na Rishton K Bandhan

Bari Khubsurat Thi Woh Zindagani

Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani....♥ ♥ ♥

●─┼ HAFI ┼─●

Powered by Blogger.
 

Blogger news

Blogroll

About